Lyrics
Tere intezaar may aashiyaan sajaaunga
Hoga yeh milan kabhi, khud ko yeh bataunga
Tere hi visaal se dil sukoon paayega
Dard intezaar ka, kya kisay bataunga?
Hoke tere rubaru haal-e-dil sunaunga
Tab talak yeh dil teri yaad may hi gaayega
Tere intezaar may
Tere intezaar may
Tere intezaar may
Tere intezaar may
Bewajah se jeewan may jeenay ki wajah tu hai
Soonay-soonay aangan may pyaar ki hawa tu hai
Tere bina mar jaaun naa mein
Tere intezaar may
Tere intezaar may
Tere intezaar may
Tere intezaar may
Yeh aag yoon jalti rahay
Yeh dil mera mujhse yeh kahay
Ke mein jal jaaun, Paaun pyaar jo ho naa fanaa
Mein jal jaaun, Paaun pyaar jo ho naa fanaa