Trending Artists

No trending artists

Vaaroon

Lyrics

Vaaroon

YouTube

Lyrics

Tune daara jo preet ka dora

Manava bairi raha na yeh mora

Badla na tha yeh qismat ka phera

Jab tak tu na tha tara mora

Mori ratiyon se chhoota andhera

Tune muskaanon ko yun bikhera

Main tha bhatka, na mora basera

Tohri saanson mein ghar hai mila

Vaaroon-vaaroon, main vaaroon tohri

Ab na jag ki hai parvaah koi

Thaam le tu mori jindagi

Tohse badh ke na koi khushi

Vaaroon-vaaroon, main vaaroon tohri

Aaj saunpe hain sapne sabhi

Naina tohre tijori mori, hai mori

Tune daara jo preet ka dora

Manava bairi raha na yeh mora

Badla na tha yeh qismat ka phera

Jab tak tu na tha tara mora

Mori ratiyon se chhoota andhera

Tune muskaanon ko yun bikhera

Main tha bhatka, na mora basera

Tohri saanson mein ghar hai mila

Tohre naam ka mohe dhaaga daal de

Tu le ja mohe, mohe jaana hai sang tohre

Tohre naam ka mohe dhaaga daal de

Tu le ja mohe, mohe jeena hai sang tohre

Vaaroon-vaaroon, main vaaroon tohri

Ab tu mora hai, mora sabhi

Aanch aave na tohpe koi

Karta rab se dua main yehi

Vaaroon-vaaroon, main vaaroon tohri

Preet apni rahegi bani

Chaahe sukh ho ya dukh ho kabhi

Main rahoonga tohre paas hi

Tohse bola nahin mora manava

Mogare sa tu mora shagunwa

Saundha-saundha sa yeh saath tohra

Chhupke-chhupke se mehka diya

Tohre aage mai sar ko jhuka loon

Tohre sapne palak pe bitha loon

Kaala tika main tohe laga loon

Rakhiyo mujh pe bharosa zara

Now Playing